Sagar main hi rahi thi wo, kho kar apna wajood
Aaj kuch hua aisa ki wo phir se boond ban gayi
Koshish ki bahut ki sagar ko lage ahmiyat uski
Par kuch na hua aakhir sagar aur boond ki than gayi
Hai boond ka safar kabhi aasman se kabhi nigah se
Kabhi raat ki hai oas kabhi doondh hai subah se
Par boond ki wajah se zameen par nami si hai
Sagar samajh na paye par use boond ki kami si hai
Boondo ka intzar is saare jahan ko hai
Par boond ka safar na jane kahan ko hai
Is bar boond ne khud apni dagar chuni
Hai thodi si mushkil ye phir bhi magar chuni
Is bar boond ne sagar ko harana hai
Hai boond aakhir boondh ye sagar ko dikhana hai
Sagar ko lage ki kya gaya uska, gayi ek boond
Usko kya pata boondo ke bina sagar sukh jana hai
Hum hai nigeaban tere boond tu na dar
Mushkil hai thoda par hai karna ek bar hi ye safar
Tere naseeb ye sagar nahi wo aasman hai
Tu chal to pad ek bar, tere liye sara jahan hai