Tuesday, November 13, 2012

Kyu hamesha tera hona mere hone se hai 
Kyu hai aisa ki rishta humare rone se hai      
Jahan main aur bhi hai log khudai ke liye
Kyu khushi bas khuda ki mere khone se hai

Badi mushkil hui jab tujko mila aur samjha apna
Zara nazuk se the armaan aur ashq jaisa the sapna
Tere aane se wo sab sach hua jo khwab main tha
Tuhhe pakar laga aisa ki tu mere jazbat main tha
Ab laga mala zindagi ki aansu pirone se hai
Kyu khushi bas khuda ki mere khi hone se hai

Zujarta hai din mera jahan ke mele main
Zujarte pati nahi raat meri akele main
Kyu hai aisa ki wo nahi aur shayad main bhi nahi
Kyu na ban paya main tujh sa aur tu ab tak mujhme rahi
Kyu ghar ye rang diya par zindagi ab bhi berang kone se hai
Kyu khushi bas khuda ki ye mere khone se hai

Kabhi to soch tu ae dil kyu hua aisa ye
Tu to tha saaf aur zaheen phir sitam kaisa ye
Itna socha par na samjha ki dukh tere hone se hai
Aur khushi bas khuda ki ye mere khone se hai

Hai agar is baar bhi tere ye raza to ye hi sahi
Main kahu kuch bhi par hoga wahi jo tune kahi
Maine sapne nahi chode wo ab bhi salone se hai
Kyu khushi bas khuda ki ab bhi mere khone se hai


Kyu khushi bas khuda ki ab bhi mere khone se hai...........

No comments:

Post a Comment