Monday, December 2, 2013

Tere jane aur aane main zamane bhar ki duri thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi

Wo har baat pe ladna aur ladh kar bhool sa jana
Wo khate waqt batiyana aur batiyate hue khana
Namak se chand tak har baat par apni nazar rakhna
Ki har baat main wo baat ho iski wajah takna
Tera jana kayamat tha, tera aana saburi thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi

Khuda ka shukr hai aur ye teri rahnumai hai
Kabhi lauta nahi hai waqt par tu laut aayi hai
Mere saare zakhm ab bhar se gaye bas tere marham ki deri thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi
Mere har dard ko tune hi samjha aur dawa bhi ki
Magar har baar teri us dawa ne marz bada diya
Mujhe lagta ki aankhen pathat hui aur dil sard hua
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya

Har baar har aahat par lagta hai tum aaye
Magar har baar ki tarah mere sang bas mere saaye
Main bas ye sochta rahta tha ki kyu tumne bhula diya
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya

Ye tune khud kaha ki ja rahi hu phir bhi nahi mana
Tu bas kahti rahi, main bunta raha tana baana
Takunga bas tera rasta, mara to lagega tune sula diya
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya
Tere aane tere jane main bas kuch aah hoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tu parso bhi thi, kal bhi thi aur tu to aaj bhi hai yahan
Mujhe mehsoos hoti hai tu, phir bole kuch bhi jahan
Hai jab dil ko yakeen to aankhen kyu rah rah ke roti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Kisi ke rokne se pyar ruk jata to kya hota
Tu bhi hoti wahan par khush main bhi ab tak gaya sota
Tu jaise kal thi mere saath aur ab bhi tu lauti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Ye duniya kya samajhti hai ki tu meri nahi hai ab
Koi inko bataye ye, hai kitne bekhabar hai sab
Main tera seep ban kar hi raha tu mera moti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tere aansu ki keemat mere bin sirf pani namak ka hai
Waqt rone ka nahi ye waqt lene sabak ka hai
Ab jo tu aayegi aise tu aana jaise madir ki jyoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata
Majboor tere ishq main main, main kya karta ab tu hi bata

Jis haath main teri garmi thi, jis juban main teri narmi thi
Wo haath bhala kaise chute, us juban se hum kaise ruthe
Milne ko tarasta hu tujhse, mil ja mujhse ab tu na sata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jab baat hui kya baat hui, sapna tha wo kya jo humne buna
Main kahta raha tu sunti rahi, main wo suna jo tune na kaha
Ab apne kahe se mat tu mukar, mat bata mujhe ki tune na kaha
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Main ab bhi samajhta hu apna, tujhko bhi samjhna hoga zara
Duniya ko to kuch kahna hi hai, duniya ki tu na parwah utha
Dard ke sahi saathi to hai hum, tu dard apna mujhse na chupa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Gar khuda kahe tu karam uska, main sajda karu din raat sanam
Gar khuda kahe tu hai gunah, main sitam karu na karu main raham
Bas mil jaye tu ab mujhko, ab kaise mile ae khuda bata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Ek baar tu aa aur aakar ke na jaa, phir dekh tera hai kaun yahan
Har rishte ki hai umar yahan, kal kaun sa tha ab kaun hua
Mera bhi to bas ek rishta hai, ab tu hi mujhe kar rishta ataa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

I thought, I knew

I thought I lost you, whenever we had fights
I thought I lost you, when I lost your sight

I thought I lost you, when you said I am leaving
I thought I lost you, when fire brunt the dreams I was weaving

I thought I lost you, when I left you alone
I thought I lost you, when you left the comfort zone

I thought I lost you, when you tied up your knots
I thought I lost you, when I saw you smiling in slots

I thought I lost you, when you said you won't come
I thought I lost you, when I cried you remained mum

I thought I lost you, when you broke in front of me
I thought I lost you, when I saw you going free

I thought I lost you but you told me I have not
I thought I lost you but you opened my thought

Now I know you are mine, you will remain with me for life
I know you are mine as I am slave & you are the wife

I know I own you as I am your night and day
I know you will be with me wherever I would stay

I know you won't leave me even if I am not worth
I know you will love me & I will be happiest on earth

I know you love me & I love you a lot
I know you are mine till I am alive & end up in silver pot
Meri behal zindagi main ek udasi si hi chayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi chali aayi

Wo aayi is tarah jaise dua mazoor hui meri
Wo aayi bas udasi chat gayi, hui roshan zindagi meri

Wo mera ansh hai, meri khushi, mera marasim hai
Wo sirf beti nahi, meri dua mera wo kasim hai

Agar tune kiya kuch bhi galat, usne  sab maafi dilvayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi cahli aayi

Hai har khushi hasi uski, har aansu main sadaye hai
Har uski baat juda si hai, juda uski aadaye hai
Wo nanhe haath main apne, meri duniya sama layi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi chali aayi

Hai tera shukr ki tune mujhe pariyan dikhayi hai
Hai wo nazuk magar meri hai, sabak mujhko sikhayi hai
Wo mere haath main thi aur ek muskan thi chayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi cahli aayi
Hai sawal ye aham ki tu kaun hai humdum
Kahin hote hai aise log ya hai ye mera waham

Agar tu maa nahi to itni mamta kyu hai tujhme yaar
Meri har ek galti par sada barsaya tune pyar

Jo tu nahi hai mera dost to kyu hai pahao ki tarah
Chupaya mera har ek dosh khud apne gunaho ki tarah

Hai gar nahi tu mera pyar to kyu itna tu kareeb hota
Lage tere siwa sab jhoot hai, fareb hai, ek dhoka

Mere gunhao ka sanjha, meri shaba ka aziz tu hai
Main hu tera dedaar e marz, mera mariz tu hai

Hai jo nahi tu khuda mera to phir khuda kahan hai
Meri har dua tujhse hi to hai, tu hi mera raha hai

Mera jahan bhi tu, din bhi tu aur raath tujhse hai
Meri zindagi ki chuppi tujhse, har baat tujhse hai

Hai sawal ye aham ki tu kaun hai humdum
Kahin hote hai aise log ya hai ye mera waham