Monday, December 2, 2013

Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo
Bas faisla ye karlo aur phir pura jahan lo

Kuch kam hai ya ki zyada ye samjhne ki baat hai
Hai kaun samajh paya jo mere jazbaat hai
Karna wahi sahi ho jo ek baar thaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Na ohda unka ucha tha na aukat zyada thi
Hume behkane walo ki magar tadad zyada thi
Jab ghar tumhara ho chuka to phir kyu makaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Ab umar wo nahi ki ho khud ke liye yalgaar
Is waqt socho kis tarah paye panah-e-yaar
Do dard apne mujhko aur mujhse muskaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Sheesha zamana bechta hai tumko dikha ke axas
Sheeshe ke pecche nanga hi khada hua har shaks
Wo chahte hai chodo gul, jahan tum viraan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Dekha zamana bhi aur zamane ki maan ke
Rote rahe hum raat din aansu jhooti shaan ke
Ab sab ye chod do aur pyar ka jahan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

No comments:

Post a Comment