Monday, December 2, 2013

Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata
Majboor tere ishq main main, main kya karta ab tu hi bata

Jis haath main teri garmi thi, jis juban main teri narmi thi
Wo haath bhala kaise chute, us juban se hum kaise ruthe
Milne ko tarasta hu tujhse, mil ja mujhse ab tu na sata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jab baat hui kya baat hui, sapna tha wo kya jo humne buna
Main kahta raha tu sunti rahi, main wo suna jo tune na kaha
Ab apne kahe se mat tu mukar, mat bata mujhe ki tune na kaha
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Main ab bhi samajhta hu apna, tujhko bhi samjhna hoga zara
Duniya ko to kuch kahna hi hai, duniya ki tu na parwah utha
Dard ke sahi saathi to hai hum, tu dard apna mujhse na chupa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Gar khuda kahe tu karam uska, main sajda karu din raat sanam
Gar khuda kahe tu hai gunah, main sitam karu na karu main raham
Bas mil jaye tu ab mujhko, ab kaise mile ae khuda bata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Ek baar tu aa aur aakar ke na jaa, phir dekh tera hai kaun yahan
Har rishte ki hai umar yahan, kal kaun sa tha ab kaun hua
Mera bhi to bas ek rishta hai, ab tu hi mujhe kar rishta ataa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

No comments:

Post a Comment