Monday, December 2, 2013

Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna
Gar lage kami meri kabhi bas ek baar pukarna
Yu to hai naya safar ye aur dagar teri badal gayi
Par kabhi guzare yahan se to door se niharna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Main kabhi tera na tha aur na kabhi ban paunga
Par tu aadat hai meri, tujhko main jeeta jaunga
Jeete tu baazi har ek, ho mere naseeb main haarna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Tha kitna saral tere liye jana na mudke dekhna
Mera bhi hai janoon ki teri hi rah dekhna
Kahna mujhe sab kuch magar na kahna ki karu ab intzaar na
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Kya waqt mera chala gaya aur laut ke na aayega
Kya mera khuda mera nahi jo aur koi tujhe paayega
Koi kahe kuch bhi mujhe ab kisi ka aitbaar na
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Tera faisla na aane ka shayad tuhje manzoor ho
Pyar mera kuch aisa hai ki aane ko tu majboor ho
Gar kiya ho kuch bhala maine to aakar ahsaan mera utaarna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

No comments:

Post a Comment