Monday, December 2, 2013

Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi

Ab tanhai main tanha nahi main, kahin ye tum to nahi
Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi

Na the jab tum to ye duniya ka mela kuch ajeeb tha
Nahi tha koi humdum sang na koi humraz kareeb tha
Tha lagta ab koi chahat nahi hai, na ab zindagi rahi
Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi

Ye duniya kah ke rah gayi ki tum ab phir na aaoge
Main bas sunta raha sabhi aur kahta ki kahan jaoge
Na thi koi wajah par dil ko bas kuch aas si rahi
Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi

Teri aawaz main sunta raha karta raha tha baat
Thi bas umeed tujhse hi ki badelenge kabhi halat
Main hamesha jaanta tha tu sada meri rahi
Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi


Muskurahat bhi ab zinda hui hai, kahin ye tum to nahi

No comments:

Post a Comment