Monday, December 2, 2013

Har ghadi har pal teri har baat yaad aati hai
Hoti hai shuru muskaan se, aakhir main palke bheeg jati hai
Main har baar hasta hu aur aansu poch leta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

Ladai pahle bhi ki thi, agi abhi bhi ladai hai
Tu pahle bol padti thi, to ab phir kyu judai hai
main razi hu maan jane ko, maanne ko bilakhta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

kya tujhko yaad hai wo din jo ab jaa kar nahi aate
Kabhi to yaad kar wo dhun jo hum khul kar nahi gaate
Main tera saath chup chup kar wo dhun sun kar behakta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

Kabhi Tujko laga hoga ki ab ye aag fana hui
Hui ghazal puri, gayegi tu nayi si dhun koi
Magar tu dekh nazar bhar ke, main to ab bhi sulagta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu


Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

No comments:

Post a Comment