Monday, December 2, 2013

Tere aane tere jane main bas kuch aah hoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tu parso bhi thi, kal bhi thi aur tu to aaj bhi hai yahan
Mujhe mehsoos hoti hai tu, phir bole kuch bhi jahan
Hai jab dil ko yakeen to aankhen kyu rah rah ke roti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Kisi ke rokne se pyar ruk jata to kya hota
Tu bhi hoti wahan par khush main bhi ab tak gaya sota
Tu jaise kal thi mere saath aur ab bhi tu lauti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Ye duniya kya samajhti hai ki tu meri nahi hai ab
Koi inko bataye ye, hai kitne bekhabar hai sab
Main tera seep ban kar hi raha tu mera moti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tere aansu ki keemat mere bin sirf pani namak ka hai
Waqt rone ka nahi ye waqt lene sabak ka hai
Ab jo tu aayegi aise tu aana jaise madir ki jyoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

No comments:

Post a Comment