Monday, December 2, 2013

Badi shiddat se tujhko maang kar paya khuda se hai
Hai lagti zindagi gul si, khayal bhi khushnuma se hai
Lage ki ek sapna dekhta rahta hu main aksar
Hai kuch tera fazal aur baki sab uski dua se hai

Tha itna bhi nahi mushkil ki jeena pau tere bin
Bas us jeene main zindagi ka naam bebasi sa tha
Subah bhi thi aur tha bhi shaam ka andhera har ek roz
Main khud hi se tha kuch naraz aur kuch bekhudi sa tha

Hai tere sang jeene main maza kuch aur duniya ka
Lagi hai har taraf raunak, saja darbar duniya ka
Mujhe lagta hai aisa ki maine pa liya sab kuch khuda to hu nahi main bas khuda lagta ka duniya ka

Pakad ke haath tere har safar aasaan lagta hai
Main kitna bhi jiyu kuch aur jeene ka armaan lagta hai
Main jeeta hu tere hi saath sote aur jagte main
Tere na hone ke ahsas se ye jag veeraan lagta hai

Jo ab tu aa gayi sab mil gaya, hua yakin dua pe
Badi shiddat se tujhko maang kar paya khuda se hai

No comments:

Post a Comment