Monday, December 2, 2013

Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha
Shyad hai tu khuda aur mujh par tera ye karam tha

Ab ye to kuch ajeeb hai ki na soya main raat bhar
Dekha na tujhse baat ki par roya main raat bhar
Din bhar main tujhko bhoola aur tujme khoya main raat bhar
Mala jo tuti aas ki, usko piroya main raat bhar
Par tees mere dil ki shayad mera hi zakhm tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Kal tak meri aawaz tere din ki azaan thi
Rahti thi mere dil apne ghar main mehmaan thi
Mera wajood tujhse tha, tu meri pehchaan thi
Kaise tha ye hua , khud khudai hairaan thi
Ye ho gaya, hota gaya, bas ye hi aham tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Jaane diya tujhe laga ki laut aayegi
Ab tak jo rahi meri ab kyu tu jayegi
Kahne do kuch unhi, na unki baaton main aayegi
Dil ko thi dil se aas ki na mujhko bhoolayegi
Gayi tu aur dil toot gaya, jaise tu marham tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Gar pyar hota ye kyu na mujhko hai karaar
Gar pyar hi tha ye to kyu na aayi tu ek baar
Gar pyar hi tha ye to na koi khat na ek khyal
Ye pyar nahi tha ye thi khushfahmi bemisaal
Tera naseeb khub tha, bas mera hi naram tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

No comments:

Post a Comment