Monday, December 2, 2013

Teri nigah-e-pak ne aabad kar diya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya
Milte hai musafir jahan-e-ishq main bahut
Tha mujhse wo khafa, maine usko mana liya

Ye zindagi jo khush hai, khushi to ushi se hai
Har ghazal ka ahsas, sher ka misra ushi se hai
Wo hai zamin ka ya kisi hoor ne mujhko apna liya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya

Har ghar ke hi naseeb main aansu bhi hai hasi bhi
Kuch bahut bhi mila hai aur rahi kuch kami si bhi
Maine jo ki galti to bhi na tune gila kiya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya

Ghar ye nahi makan tha jo tu pass nahi thi
Tu saath thi mere sirf ahsas nahi thi
Jab ban gaya makan to tujhko bula liya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya

No comments:

Post a Comment