Monday, December 2, 2013

Tere jane aur aane main zamane bhar ki duri thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi

Wo har baat pe ladna aur ladh kar bhool sa jana
Wo khate waqt batiyana aur batiyate hue khana
Namak se chand tak har baat par apni nazar rakhna
Ki har baat main wo baat ho iski wajah takna
Tera jana kayamat tha, tera aana saburi thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi

Khuda ka shukr hai aur ye teri rahnumai hai
Kabhi lauta nahi hai waqt par tu laut aayi hai
Mere saare zakhm ab bhar se gaye bas tere marham ki deri thi
Magar shayad samjhne ko tujhe ye bhi zarori thi
Mere har dard ko tune hi samjha aur dawa bhi ki
Magar har baar teri us dawa ne marz bada diya
Mujhe lagta ki aankhen pathat hui aur dil sard hua
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya

Har baar har aahat par lagta hai tum aaye
Magar har baar ki tarah mere sang bas mere saaye
Main bas ye sochta rahta tha ki kyu tumne bhula diya
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya

Ye tune khud kaha ki ja rahi hu phir bhi nahi mana
Tu bas kahti rahi, main bunta raha tana baana
Takunga bas tera rasta, mara to lagega tune sula diya
Magar is baar bhi jane ne tere mujhko rula diya
Tere aane tere jane main bas kuch aah hoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tu parso bhi thi, kal bhi thi aur tu to aaj bhi hai yahan
Mujhe mehsoos hoti hai tu, phir bole kuch bhi jahan
Hai jab dil ko yakeen to aankhen kyu rah rah ke roti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Kisi ke rokne se pyar ruk jata to kya hota
Tu bhi hoti wahan par khush main bhi ab tak gaya sota
Tu jaise kal thi mere saath aur ab bhi tu lauti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Ye duniya kya samajhti hai ki tu meri nahi hai ab
Koi inko bataye ye, hai kitne bekhabar hai sab
Main tera seep ban kar hi raha tu mera moti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Tere aansu ki keemat mere bin sirf pani namak ka hai
Waqt rone ka nahi ye waqt lene sabak ka hai
Ab jo tu aayegi aise tu aana jaise madir ki jyoti hai
Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai

Na bhar aahe tu mere dost, Sitam ki umar choti hai
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata
Majboor tere ishq main main, main kya karta ab tu hi bata

Jis haath main teri garmi thi, jis juban main teri narmi thi
Wo haath bhala kaise chute, us juban se hum kaise ruthe
Milne ko tarasta hu tujhse, mil ja mujhse ab tu na sata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jab baat hui kya baat hui, sapna tha wo kya jo humne buna
Main kahta raha tu sunti rahi, main wo suna jo tune na kaha
Ab apne kahe se mat tu mukar, mat bata mujhe ki tune na kaha
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Main ab bhi samajhta hu apna, tujhko bhi samjhna hoga zara
Duniya ko to kuch kahna hi hai, duniya ki tu na parwah utha
Dard ke sahi saathi to hai hum, tu dard apna mujhse na chupa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Gar khuda kahe tu karam uska, main sajda karu din raat sanam
Gar khuda kahe tu hai gunah, main sitam karu na karu main raham
Bas mil jaye tu ab mujhko, ab kaise mile ae khuda bata
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Ek baar tu aa aur aakar ke na jaa, phir dekh tera hai kaun yahan
Har rishte ki hai umar yahan, kal kaun sa tha ab kaun hua
Mera bhi to bas ek rishta hai, ab tu hi mujhe kar rishta ataa
Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

Jo tumne kiya wo tera karam, jo maine kiya wo meri khata

I thought, I knew

I thought I lost you, whenever we had fights
I thought I lost you, when I lost your sight

I thought I lost you, when you said I am leaving
I thought I lost you, when fire brunt the dreams I was weaving

I thought I lost you, when I left you alone
I thought I lost you, when you left the comfort zone

I thought I lost you, when you tied up your knots
I thought I lost you, when I saw you smiling in slots

I thought I lost you, when you said you won't come
I thought I lost you, when I cried you remained mum

I thought I lost you, when you broke in front of me
I thought I lost you, when I saw you going free

I thought I lost you but you told me I have not
I thought I lost you but you opened my thought

Now I know you are mine, you will remain with me for life
I know you are mine as I am slave & you are the wife

I know I own you as I am your night and day
I know you will be with me wherever I would stay

I know you won't leave me even if I am not worth
I know you will love me & I will be happiest on earth

I know you love me & I love you a lot
I know you are mine till I am alive & end up in silver pot
Meri behal zindagi main ek udasi si hi chayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi chali aayi

Wo aayi is tarah jaise dua mazoor hui meri
Wo aayi bas udasi chat gayi, hui roshan zindagi meri

Wo mera ansh hai, meri khushi, mera marasim hai
Wo sirf beti nahi, meri dua mera wo kasim hai

Agar tune kiya kuch bhi galat, usne  sab maafi dilvayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi cahli aayi

Hai har khushi hasi uski, har aansu main sadaye hai
Har uski baat juda si hai, juda uski aadaye hai
Wo nanhe haath main apne, meri duniya sama layi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi chali aayi

Hai tera shukr ki tune mujhe pariyan dikhayi hai
Hai wo nazuk magar meri hai, sabak mujhko sikhayi hai
Wo mere haath main thi aur ek muskan thi chayi
Tumakte nanhe kadmo se meri anvi cahli aayi
Hai sawal ye aham ki tu kaun hai humdum
Kahin hote hai aise log ya hai ye mera waham

Agar tu maa nahi to itni mamta kyu hai tujhme yaar
Meri har ek galti par sada barsaya tune pyar

Jo tu nahi hai mera dost to kyu hai pahao ki tarah
Chupaya mera har ek dosh khud apne gunaho ki tarah

Hai gar nahi tu mera pyar to kyu itna tu kareeb hota
Lage tere siwa sab jhoot hai, fareb hai, ek dhoka

Mere gunhao ka sanjha, meri shaba ka aziz tu hai
Main hu tera dedaar e marz, mera mariz tu hai

Hai jo nahi tu khuda mera to phir khuda kahan hai
Meri har dua tujhse hi to hai, tu hi mera raha hai

Mera jahan bhi tu, din bhi tu aur raath tujhse hai
Meri zindagi ki chuppi tujhse, har baat tujhse hai

Hai sawal ye aham ki tu kaun hai humdum
Kahin hote hai aise log ya hai ye mera waham
Aankhen teri sab kah rahi, Shabdo ki kahan zarorat rahi
Jeeven ka saar hai in main hi, Inse alag zindagi nahi

Din bhar ki kuch thakan nahi, aankhoon main teri wo sukoon hai
Chamak inki kabhi kam na ho, hai pyar bhi ye aur junoon bhi

Khulne se inki din chade, jab ye jhuke to shaam ho
Tum sirf mere hi rahe, nahi Krishen tum mere Ram ho

Teri palko ka saya ghana, jeevan ke inme gul khile
Karlu main koi bhi gunah, palko main mujhe panah mile

Hai zindagi aanknon main hi, inse judi har umeed hai
Hai kuch to tujhme hi alag, har saksh tera mureed hai

Bas ek hi darkhawast hai, inme kabhi nami na ho
Bas pyar inme hi rahe, is pyar main kami na ho

Tu zindagi ka hissa nahi, meri zindagi ka tu saar hai
Mera agar kuch hai yahan, wo sirf tera pyar hai
Wo sirf tera pyar hai
Teri nigah-e-pak ne aabad kar diya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya
Milte hai musafir jahan-e-ishq main bahut
Tha mujhse wo khafa, maine usko mana liya

Ye zindagi jo khush hai, khushi to ushi se hai
Har ghazal ka ahsas, sher ka misra ushi se hai
Wo hai zamin ka ya kisi hoor ne mujhko apna liya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya

Har ghar ke hi naseeb main aansu bhi hai hasi bhi
Kuch bahut bhi mila hai aur rahi kuch kami si bhi
Maine jo ki galti to bhi na tune gila kiya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya

Ghar ye nahi makan tha jo tu pass nahi thi
Tu saath thi mere sirf ahsas nahi thi
Jab ban gaya makan to tujhko bula liya
kuch tinke jod kar ke maine ghar bana liya
Aadhi adhudi mulaquat meri
Kahne se rah gayi wo baat meri
Is waqt ki lagti hai dushmani mujhse
Tere jaane ke baad hi hoti hai barsaat meri

Aksar socha ye sab kah du
Lag jau gale bas main ro lu
Bas kar nahi paya fariyaad meri
Aadhi adhudi mulaquat meri
Kahne se rah gayi wo baat meri

Tere jaane se gul murjha gaye
Khushi ki thi roshni par badal phie se cha gaye
Kya sach main khush rakhne ki hai aukat meri
Aadhi adhudi mulaquat meri
Kahne se rah gayi wo baat meri

Milne ka intzaar tujhe bhi hai mujhe bhi
Pyar ka izhaar tujhe bhi hai mujhe bhi
Jab sabne suni to khudi ne unsuni kyu ki baat meri
Aadhi adhudi mulaquat meri
Kahne se rah gayi wo baat meri

Aadhi adhudi mulaquat meri
Kahne se rah gayi wo baat meri
Wo raat kali cut gayi aur phir se savera ho gaya
Jo hamesha se tha mera, wo phir se mera ho gaya

Aksar socha use fikr nahi, phir khud ko kaha majboor hai wo
Mere paas na hai na sahi, mere saath zaroor hai wo
Jab chaha baat ki, kah sun liya aur bharosa ho gaya
Jo hamesha se tha mera, wo phir se mera ho gaya

Jana tera galti thi meri, aana tera hai tera karam
Jab dard bada sa hone laga, aaye phir tum ban kar marham
Din hue phir khushgawar, surkh tere labo sa ho gaya
Jo hamesha se tha mera, wo phir se mera ho gaya

Ab saath chalna hai sada, mil kar kare har kaam ab
Takleef ab dikhti nahi, jeevan main hai aaraam ab
Tere bulane se din shuru, tere pahlu main hi so gaya
Jo hamesha se tha mera, wo phir se mera ho gaya

Jo hamesha se tha mera, wo phir se mera ho gaya

Life has turned pink again......

life has turned pink again, I feel I am in love for sure
Even if its some error, I don't want a cure
I again feel like a tiger, silence world by my roar
I blush when I think of her, I feel I am in love for sure

Your eyes are deep like your love for me
Holding your hands, seems like a victory
Your heart beats for me, intentions are so pure
life has turned pink again, I feel I am in love for sure

Being with you is so divine, it feels I am out of fear
Life will have only smiles, no place for frown or tear
Clouds of sorrow have gone by, sky is now clear
I got everything as I got you, nothing else to procure
life has turned pink again, I feel I am in love for sure


life has turned pink again, I feel I am in love for sure
Badi shiddat se tujhko maang kar paya khuda se hai
Hai lagti zindagi gul si, khayal bhi khushnuma se hai
Lage ki ek sapna dekhta rahta hu main aksar
Hai kuch tera fazal aur baki sab uski dua se hai

Tha itna bhi nahi mushkil ki jeena pau tere bin
Bas us jeene main zindagi ka naam bebasi sa tha
Subah bhi thi aur tha bhi shaam ka andhera har ek roz
Main khud hi se tha kuch naraz aur kuch bekhudi sa tha

Hai tere sang jeene main maza kuch aur duniya ka
Lagi hai har taraf raunak, saja darbar duniya ka
Mujhe lagta hai aisa ki maine pa liya sab kuch khuda to hu nahi main bas khuda lagta ka duniya ka

Pakad ke haath tere har safar aasaan lagta hai
Main kitna bhi jiyu kuch aur jeene ka armaan lagta hai
Main jeeta hu tere hi saath sote aur jagte main
Tere na hone ke ahsas se ye jag veeraan lagta hai

Jo ab tu aa gayi sab mil gaya, hua yakin dua pe
Badi shiddat se tujhko maang kar paya khuda se hai
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo
Bas faisla ye karlo aur phir pura jahan lo

Kuch kam hai ya ki zyada ye samjhne ki baat hai
Hai kaun samajh paya jo mere jazbaat hai
Karna wahi sahi ho jo ek baar thaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Na ohda unka ucha tha na aukat zyada thi
Hume behkane walo ki magar tadad zyada thi
Jab ghar tumhara ho chuka to phir kyu makaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Ab umar wo nahi ki ho khud ke liye yalgaar
Is waqt socho kis tarah paye panah-e-yaar
Do dard apne mujhko aur mujhse muskaan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Sheesha zamana bechta hai tumko dikha ke axas
Sheeshe ke pecche nanga hi khada hua har shaks
Wo chahte hai chodo gul, jahan tum viraan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Dekha zamana bhi aur zamane ki maan ke
Rote rahe hum raat din aansu jhooti shaan ke
Ab sab ye chod do aur pyar ka jahan lo
Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

Ya to dil ki maan lo ya zamane ki maan lo

It's not so long......

Its been long since you are seen
Its been long since I had you in dreams
Its been long since I holded your hand
Its been long when summers were cold

Its been long when I had a soulful meal
Its been long since you came to heel
Its been long since you wiped my tears
Its been long since you called me "my dear"

Its been long since I felt u r there
Its been long since I saw you near
Its been long since you called me awesome or weird
Its been long since the mist is been cleared

Its been long since you cooked for me
Its been long since we sat under our tree
Its been long when I chatted so free
Its seems so long like its been history

Its been long when you said "I will be back"
Its been long & I am still looking at track
Its been long since I feeling  the heart's crack
Its been so long that I feel I should pack

But its not so long that I stop waiting for you
Its been long but I am tired is not true
I am still watching the track & hoping for your view
Its not been so long that I stop loving you
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna
Gar lage kami meri kabhi bas ek baar pukarna
Yu to hai naya safar ye aur dagar teri badal gayi
Par kabhi guzare yahan se to door se niharna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Main kabhi tera na tha aur na kabhi ban paunga
Par tu aadat hai meri, tujhko main jeeta jaunga
Jeete tu baazi har ek, ho mere naseeb main haarna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Tha kitna saral tere liye jana na mudke dekhna
Mera bhi hai janoon ki teri hi rah dekhna
Kahna mujhe sab kuch magar na kahna ki karu ab intzaar na
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Kya waqt mera chala gaya aur laut ke na aayega
Kya mera khuda mera nahi jo aur koi tujhe paayega
Koi kahe kuch bhi mujhe ab kisi ka aitbaar na
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna

Tera faisla na aane ka shayad tuhje manzoor ho
Pyar mera kuch aisa hai ki aane ko tu majboor ho
Gar kiya ho kuch bhala maine to aakar ahsaan mera utaarna
Zindagi se tune door kiya ab dil se mat nikalna
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha
Shyad hai tu khuda aur mujh par tera ye karam tha

Ab ye to kuch ajeeb hai ki na soya main raat bhar
Dekha na tujhse baat ki par roya main raat bhar
Din bhar main tujhko bhoola aur tujme khoya main raat bhar
Mala jo tuti aas ki, usko piroya main raat bhar
Par tees mere dil ki shayad mera hi zakhm tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Kal tak meri aawaz tere din ki azaan thi
Rahti thi mere dil apne ghar main mehmaan thi
Mera wajood tujhse tha, tu meri pehchaan thi
Kaise tha ye hua , khud khudai hairaan thi
Ye ho gaya, hota gaya, bas ye hi aham tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Jaane diya tujhe laga ki laut aayegi
Ab tak jo rahi meri ab kyu tu jayegi
Kahne do kuch unhi, na unki baaton main aayegi
Dil ko thi dil se aas ki na mujhko bhoolayegi
Gayi tu aur dil toot gaya, jaise tu marham tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Gar pyar hota ye kyu na mujhko hai karaar
Gar pyar hi tha ye to kyu na aayi tu ek baar
Gar pyar hi tha ye to na koi khat na ek khyal
Ye pyar nahi tha ye thi khushfahmi bemisaal
Tera naseeb khub tha, bas mera hi naram tha
Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha

Shayad wo mera pyar na tha, mera ye waham tha
Jab dil zara khush sa rahe
Aansu zara kuch kam bahe
Duniya main gul hi gul se ho
Baatain jab us bulbul se ho
Jab dukh lage ki kho gaya
Samjho tumhe pyar ho gaya

Taane bhi jab muskan de
Nakami bhi arman de
Dushman bhi apne se lage
Sab gair ho jaise sage
Sukoon aa gaya, gum wo gaya
Samjho tumhe pyar ho gaya

Ladne main bhi aaye maza
Na baat ho to jaise saza
Unki khushi jab ho aham
Karne lago sare waham
Usne dekha aur khush ho gaya
Samjho tumhe pyar ho gaya

What a wonderful life......

When I hold your hand, We walk or we stand
World looks bright, you are my love my wife
And I say with smile, what a wonderful life

When I see you smile, I lose the world for a while
Watching your eyes, with a happy surprise
And I say with love, what a wonderful life

When we fight we cry, Patch up doesn't takes a try
We laugh at a view, shows our love is true
And I say with moist eyes, what a wonderful life

When you hug me tight, I feel its my right
You are my peace, your are my fire
And I say with proud, what a wonderful life

When we face the heat, we take like a treat
Whether happiness or turmoil, we go in with a smile
And I feel deep in heart, what a wonderful life

When you come, life rhymes
When you go, I wait for next times
World feels they can crush, I think of you and blush
And I know you are here, what a wonderful life
Har ghadi har pal teri har baat yaad aati hai
Hoti hai shuru muskaan se, aakhir main palke bheeg jati hai
Main har baar hasta hu aur aansu poch leta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

Ladai pahle bhi ki thi, agi abhi bhi ladai hai
Tu pahle bol padti thi, to ab phir kyu judai hai
main razi hu maan jane ko, maanne ko bilakhta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

kya tujhko yaad hai wo din jo ab jaa kar nahi aate
Kabhi to yaad kar wo dhun jo hum khul kar nahi gaate
Main tera saath chup chup kar wo dhun sun kar behakta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu

Kabhi Tujko laga hoga ki ab ye aag fana hui
Hui ghazal puri, gayegi tu nayi si dhun koi
Magar tu dekh nazar bhar ke, main to ab bhi sulagta hu
Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu


Aur phir har bar ki tarah main teri rah takta hu